Wednesday, July 1, 2009

Ajeeb dastaan ...

Ajeeb dastan hai ye kahan shuru kahan khatam,
ye manzilein hai kaun si naa yeh samajh sake they hum…
Pehla din aisa hi tha…

Nayi jagah, naye log, naya safar. Aaj ka din shuru hua thode darr, thodi nervousness aur bahut si excitement ke saath. Masti aur kaam saath kaise hota hai yeh aaj jaana hai. Alag alag log jab mil baat kar kaam karte hain to waqt kitni jaldi nikal jaata hai yeh pata hi nahi chalta. Nayi jagah mein logon se kaise milte hain, nayi jagah ki khoj karna, ye karne se mera aatam vishwas badha. Shaam ko hum dargah gaye, barish mein bheege aur khub masti ki.
Yahan ki sabse achi baat yeh hai ki agar aap kuch janna chahte ho(jagah ke bare mein, logon ke bare mein) to kaha jaata hai, “jao aur pucho” , apne pairon par khade hone ka sahi maiyna yahan aakar ek hi din mein pata chal gaya, bawjood iske jab kuch senior G.F chor kar dusre block jaa rahe they to aisa laga koi apna bichad raha ha.
Dil apne aap udaas ho gaya, shaam ki masti, G.F’S ka support…..all in all ghar ki yaad nahi aayi, actually ghar ko yaad karne ki fursat nahi mili.

Anisha Mathew

No comments: