Saturday, November 15, 2008

Unke sapne...



Kehte they padaenge,
itihaas naya Banayenge
in bachon ka ujjwal
bhavishya hum sajayenge.
Inko aankhon mein jo chote chote sapno ka bada sa pahaad hai
us tak inhe pahuncha ke dikhayenge
lekin aaj who bacho ke sapne kahan hai,
Ye unhe nahi pata, shayad unki yadon mein band hokar reh gaye.
magar kya ye wade sirf sarkaar ne kiye they,
woh teachers jinko Maa Baap bhagwan mante hain,
aur apne bachon ko saump dete hain.
aakhir who bhagwan kya kar rahe hai?
unke paas iska jawaab hai kya?
Unhe pata hai kya unke bachon ki kis cheez ki zaroorat hai,
unke mote dande ke alawa?
Khair chodo ab hamari baari hai aayi, ab hume sabko milke kuch karna hai bhai,
HM ho ya Teacher sabko is baat se Rubaru karayenge,
Ki yeh hamaare pyaare bache bahut door tak jayenge.
sirf kitabe hi nahi , unse bahut zyada hai seekhne ko,
ye hum samjhenge aur aage badte jayenge.

Geetanjali

No comments: